Unki Nigaaho ke aaiene main jab dekha khudko
Zazbaat dil ke hoto se chalak gaye
Unki Zulfo ki chaaon main kuch aaise kho se gaye hum
Na fikr khud ki rahi na khabar zamaane ki
Har aahat par ab ye lagta hai is muhobbat main
Kyon nahi dete wo khabar aapne aane ki
Ye muhobbatn ka hai hai kasoor
Ya unki aankhon ki sararat
Unko paane ki chaahat main Hum Kar sakte hai is Dunia se khilafat
Magar parwaah to karte hai is hum bas is baat ki
Bayaan kare to kare kaise hum unse hum haalat apne zazbaat ki.
Wo bhi ek zamaana tha Jab hum aashiq hua karte the
Dil main lakho zazbaat liye unke aankhon se piya karte the
Aaj unke gam se ruswa hum Shaayar se ho gaye hai
Maikhaane main jaam aur tanhaayi main aanshu piya karte hai
Ab Ye Muhobbat to Is Umar ka Kasoor hai
Kam ho ya Jaada ,Ye sabko hoti Zaroor hai
Koi laakh chupaaye dunia se magar
Dil main ek kasak hoti Zaroor hai
Aapki aankhon ki hai inayaat jo dil aaj khusnaseeb hua jaata hai
Warna kaha hai ye baat is zaalim zamaane main jo koi kisi ko itna samagh paata hai
Kuch aur bhi bayaan karti hai aapki aakhein jise sirf hum dekh paate hai Mehsoos to karte hai magar aapko bata nahi paate hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
:).. good..infact very good.. achhi hai..:)
woww.. dil chu gya.. <3
Post a Comment